tujhe bhi husn-e-mutlaq ka abhi didar ho jae
mere mahbub ke jo ru-ba-ru ek bar ho jae
sukun-o-chain mil jae KHuda bhi yar ho jae
agar insan mein insaniyat bedar ho jae
lahu mein garam-joshi rakh qalam mein zor paida kar
nahin to har qadam par ek nai diwar ho jae
qalandar hun mujhe shohrat ki chahat hi nahin warna
main rakh dun jis ke sar par hath wo sardar ho jae
suna hai dard se 'ahya' qalam mein zor milta hai
so main ne bhi dua kar li mujhe bhi pyar ho jae
Ghazal
Tujhe bhi husn-e-mutlaq ka abhi didar ho jae
Ehya Bhojpuri