اردو हिंदी
Tujhe ai zahid-badnam samjhana bhi aata hai | Shaahi Shayari
tujhe ai zahid-badnam samjhana bhi aata hai

Ghazal

Tujhe ai zahid-badnam samjhana bhi aata hai

Raza Jaunpuri

;

tujhe ai zahid-badnam samjhana bhi aata hai
kahin baaton mein teri rind-e-mai-KHana bhi aata hai

matanat-afrin nazren karam-gustar saf-e-mizhgan
sitam Dhane ko uTThe ho sitam Dhana bhi aata hai

unhin nazuk labon ko fursat-e-atish-bayani bhi
unhin nazuk labon ko phul barsana bhi aata hai

kaho baada-kasho kya haal hai faizan-e-saqi ka
kabhi mahfil mein daur-e-jam-o-paimana bhi aata hai

nahin mahdud ehsas-e-tapish sham-e-farozan tak
bala ka soz le kar dil mein parwana bhi aata hai

fana ka dars deti hain rah-e-ulfat mein jo maujen
unhin ke pech-o-KHam se dil ko bahlana bhi aata hai

unhin ashkon mein ehsas-e-alam ka sail-e-be-payan
sar-e-mizhgan unhin ashkon ko tharrana bhi aata hai

tumhin ne lab ko baKHshi hai mata-e-KHamushi warna
zaban se qissa-ha-e-shauq dohrana bhi aata hai