اردو हिंदी
Tujhe ai shola-ru kab chhoDta hun | Shaahi Shayari
tujhe ai shola-ru kab chhoDta hun

Ghazal

Tujhe ai shola-ru kab chhoDta hun

Joshish Azimabadi

;

tujhe ai shola-ru kab chhoDta hun
jale dil ke phaphule phoDta hun

zara chal dekh mujh par tegh-e-abru
muDe hai tu ki main munh moDta hun

rafu jab tak na howe jeb-e-sad-chaak
ye rishta ashk ka koi toDta hun

sirishta dam ka jab tak hath mein hai
usi ko toDta hun joDta hun