tujhe achchha bura jaisa laga hun
wo tera aks hai main aaina hun
agar main ek nanha sa diya hun
hawa ki zad pe kyun rakkha gaya hun
main ek ek sans kaT kaT kar jiya hun
main jine ka saliqa jaanta hun
main apne aap hun KHud apna qatil
main apne aap apna marsiya hun
sabhi diwane kahte hain 'asir' ab
ki in mein main hi ek suljha hua hun

Ghazal
Tujhe achchha bura jaisa laga hun
Ram Nath Aseer