tujh zulf ki shikan hai manind-e-dam goya
ya subh par hamari aai hai sham goya
hain sad us ki aankhen aur qad alif ke manind
abru hai nun-e-nadir gesu hai lam goya
masjid mein tujh bhawon ki ai qibla-e-dil-o-jaan
palken hain muqtadi aur putli imam goya
rangin bahaar-e-jannat dozaKH hai mujh ko us bin
dozaKH hai us ke hote darussalam goya
Tuk mah-e-nau ki jaanib ai mah-ru nazar kar
KHam ho teri bhawon kun karta salam goya
gul-ru ke qad muqabil ho ba-adab khaDa hai
shamshad hai chaman mein us ka ghulam goya
sher-e-'siraj' az-bas aalam mein hain zabanzad
diwan ki zamin hai diwan-e-am goya
Ghazal
Tujh zulf ki shikan hai manind-e-dam goya
Siraj Aurangabadi