tujh tegh ki nigah se mera kaT gaya hai dil
bhitar sine ke TukDe ho kar phaT gaya hai dil
jab se jamal tera main dekha hai ai sanam
tab se sabhi taraf se mera haT gaya hai dil
andaz-e-naz qahr hai us ke na main kahun
par KHal-o-KHat mein ja ke tere baT gaya hai dil
aage ko baDh sake hai na pichhe ko haT sake
yan tak tere KHayal mein ab DaT gaya hai dil
zarra se dekhte hi ye badli nazar teri
man mein chhaTanki ser pichhe ghaT gaya hai dil
hota hai shab ko ja ke ham-aghosh ghair se
ye baat sun ke yar nipaT chhaT gaya hai dil
jaisa hai sabz KHat tera aur shoKH chashm
in donon bich aa ke mera luT gaya hai dil
Ghazal
Tujh tegh ki nigah se mera kaT gaya hai dil
nayan sukh