اردو हिंदी
Tujhse zalim ko apna yar kiya | Shaahi Shayari
tujhse zalim ko apna yar kiya

Ghazal

Tujhse zalim ko apna yar kiya

Joshish Azimabadi

;

tujh se zalim ko apna yar kiya
hum ne kya jabr iKHtiyar kiya

misl-e-simab be-qarar rahe
ek ja hum ne kab qarar kiya

aankhen pathra gain ai sangin-dil
yan talak tera intizar kiya

tu jo kahta hai jald aaunga
main ne kya tera e'tibar kiya

jaib to kya hai naseho hum ne
chaak sine ko ghuncha-war kiya

nazar aae qayas se bahar
dil ke zaKHmon ko jab shumar kiya

aatish-e-ishq ne ba-rang-e-sipand
dana-e-dil ko be-qarar kiya

tu wafa se na dar-guzar 'joshish'
us ne go jaur iKHtiyar kiya