اردو हिंदी
Tujhse wahshat mein bhi ghafil kab tera diwana tha | Shaahi Shayari
tujhse wahshat mein bhi ghafil kab tera diwana tha

Ghazal

Tujhse wahshat mein bhi ghafil kab tera diwana tha

Rasheed Rampuri

;

tujh se wahshat mein bhi ghafil kab tera diwana tha
dil mein teri yaad thi lab par tera afsana tha

raat jo zahid sharik-e-jalsa-e-rindana tha
thi surahi KHanda-lab gardish mein har paimana tha

mai-kada be-jam-e-chashm-e-yar matam-KHana tha
dida-e-pur-KHun meri aankhon mein har paimana tha

ho gaya tha mujh ko jis din se asiri ka KHayal
meri aankhon mein to us din se chaman virana tha

bazm-e-saqi mein tahi-dasti ne kho di aabru
baKHt-e-bad apna sharik-e-gardish-e-paimana tha

main gila qismat ka karta tha to sote the nasib
shikwa-e-taqdir bahr-e-KHwab baKHt afsana tha

baDh gae miTne se tere dushmanon ke hausle
ai mariz-e-dard-o-gham tujh ko abhi marna na tha

main ne nahaq hi 'rashid'-e-zar ko ruswa kiya
aap ke sar ki qasam wo aap ka diwana tha