اردو हिंदी
Tujhse wada aziz-tar rakkha | Shaahi Shayari
tujhse wada aziz-tar rakkha

Ghazal

Tujhse wada aziz-tar rakkha

Kishwar Naheed

;

tujh se wada aziz-tar rakkha
wahshaton ko bhi apne ghar rakkha

apni be-chehragi chhupane ko
aaine ko idhar udhar rakkha

ek tera gham hi apni daulat thi
dil mein poshida be-KHatar rakkha

aarzu ne kamal pahchana
aur talluq ko taq par rakkha

is qadar tha udas mausam-e-gul
hum ne aab-e-rawan pe sar rakkha

apni waraftagi chhupane ko
shauq ne hum ko dar-ba-dar rakkha

kalma-e-shukr ki mohabbat ne
hum ko tamhid-e-KHwab par rakkha

un ko samjhane apna harf-e-suKHan
aansuon ko payam par rakkha