tujh se tasawwuraat mein ai jaan-e-arzu
bandhe hain hum ne sainkaDon paiman-e-arzu
ai rashk-e-nau-bahaar tere intizar mein
kya kya khilae hum ne gulistan-e-arzu
phir dil mein dagh-ha-e-tamanna hain zau-fishan
phir kar raha hun jashn-e-charaghan-e-arzu
dekhe koi ye rabt ki marne ke baad bhi
chhuTa na dast-e-shauq se daman-e-arzu
ab dekhiye guzarti hai kya us ki jaan par
ek dil hai aur sainkaDon tufan-e-arzu
tera KHayal tere nazare tera jamal
kitne charagh hain tah-daman-e-arzu
samjho na hum ko be-sar-o-saman ki hum 'jalis'
rakhte hain dil mein ganj-e-farawan-e-arzu
Ghazal
Tujhse tasawwuraat mein ai jaan-e-arzu
Brahma Nand Jalees