اردو हिंदी
Tujhse milne ki iltija kaisi | Shaahi Shayari
tujhse milne ki iltija kaisi

Ghazal

Tujhse milne ki iltija kaisi

Nasir Shahzad

;

tujh se milne ki iltija kaisi
honT par aa gai dua kaisi

jhaD gae baal Dhili paD gai khaal
dil mein ab KHushbu-e-hina kaisi

sej kya hai baghair sayyan ke
paniyon ke binan ghaTa kaisi

dil mein dar aana dil ko kalpana
dan kaisa hai ye daya kaisi

koi hangama koi sar-nama
warna is zist mein baqa kaisi

rishwaten rahzani Dakaiti qatl
lag gai shahr ko hawa kaisi

harf-e-haq zarf-e-kaenat bana
karbala ho gai katha kaisi

shabd shobha sakhi teri lobha
tu sakhi mujh se mawara kaisi

intiha shauq ki tarah milna
tujh se milne ki intiha kaisi

jal mein Thahra tera mera chehra
kaisa dariya tha wo sabha kaisi