tujh se mil kar dil mein rah jati hai armanon ki baat
yaad rahti hai kisi sahil pe tufanon ki baat
wo to kahiye aaj bhi zanjir mein jhankar hai
warna kis ko yaad rah jati hai diwanon ki baat
kya na thi tum ko KHabar ai kaj-kalahan-e-bahaar
bu-e-gul ke sath hi phailegi zindanon ki baat
KHair ho mere junun ki khil gae sadha gulab
warna koi puchhta hi kya bayabanon ki baat
kya kabhi hoti kisi ki tu magar ai zindagi
zahr pi kar hum ne rakh li tere diwanon ki baat
rishta-e-yaad-e-butan TuTa na tark-e-ishq se
hai haram mein ab bhi zer-e-lab sanam-KHanon ki baat
ham-nashin us ke lab o ruKHsar hon ya sair-e-gul
tazkira koi bhi ho niklegi mai-KHanon ki baat
bazm-e-anjum ho ki bazm-e-KHak ya bazm-e-KHayal
jis jagah jao sunai degi insanon ki baat
ibn-e-adam KHosha-e-gandum pe hai mail-ba-jang
ye na hai masjid ka qissa aur na but-KHanon ki baat
phul se bhi narm-tar 'wamiq' kabhi apna kalam
aur kabhi talwar hum aashufta-samanon ki baat

Ghazal
Tujhse mil kar dil mein rah jati hai armanon ki baat
Wamiq Jaunpuri