tujh se ek hath kya mila liya hai 
shahr ne waqia bana liya hai 
hum to hum the ki us pari-ru ne 
aaine ka bhi dil chura liya hai 
warna ye sail-e-ab le jata 
shahr ko aag ne bacha liya hai 
aisi naw mein kya safar karna 
jis ne dariya ko dukh suna liya hai 
kuza-gar ne hamari miTTi se 
kya banana tha kya bana liya hai 
dekhiye pahle kaun marta hai 
sanp ne aadmi ko kha liya hai 
jaane walon ko ab ijazat hai 
hum ne apna diya bujha liya hai 
jab koi baat hi nahin 'ami' 
aasman sar pe kyun uTha liya hai
        Ghazal
Tujhse ek hath kya mila liya hai
Imran Aami

