اردو हिंदी
Tujhse gile karun tujhe jaanan manaun main | Shaahi Shayari
tujhse gile karun tujhe jaanan manaun main

Ghazal

Tujhse gile karun tujhe jaanan manaun main

Jaun Eliya

;

tujh se gile karun tujhe jaanan manaun main
ek bar apne-ap mein aaun to aaun main

dil se sitam ki be-sar-o-kari hawa ko hai
wo gard uD rahi hai ki KHud ko ganwaun main

wo nam hun ki jis pe nadamat bhi ab nahin
wo kaam hain ki apni judai kamaun main

kyunkar ho apne KHwab ki aankhon mein wapsi
kis taur apne dil ke zamanon mein jaun main

ek rang si kaman ho KHushbu sa ek tir
marham si wardat ho aur zaKHm khaun main

shikwa sa ek daricha ho nashsha sa ek sukut
ho sham ek sharab si aur laDkhaDaun main

phir us gali se apna guzar chahta hai dil
ab us gali ko kaun si basti se laun main