اردو हिंदी
Tujhse garwida yak zamana raha | Shaahi Shayari
tujhse garwida yak zamana raha

Ghazal

Tujhse garwida yak zamana raha

Hasrat Mohani

;

tujh se garwida yak zamana raha
kuchh faqat main hi mubtila na raha

aap ko ab hui hai qadr-e-wafa
jab ki main laiq-e-jafa na raha

rah-o-rasm-e-wafa wo bhul gae
ab hamein bhi koi gila na raha

husn KHud ho gaya gharib-nawaz
ishq muhtaj-e-ilteja na raha

bas-ki nazzara soz tha wo jamal
hosh-e-nazzargi baja na raha

main kabhi tujh se bad-guman na hua
tu kabhi mujh se aashna na raha

aap ka shauq bhi to ab dil mein
aap ki yaad ke siwa na raha

aur bhi ho gae wo ghafil-e-KHwab
nala-e-subh-e-na-rasa na raha

husn ka naz aashiqi ka niyaz
ab to kuchh bhi wo majra na raha

ishq jab shikwa sanj-e-husn hua
iltija ho gai gila na raha

hum bharose pe un ke baiTh rahe
jab kisi ka bhi aasra na raha

mere gham ki hui unhen bhi KHabar
ab to ye dard la dawa na raha

aarzu teri barqarar rahe
dil ka kya raha raha na raha

ho gae KHatm mujh pe jaur-e-falak
ab koi morid-e-bala na raha

jab se dekhi abul-kalam ki nasr
nazm-e-'hasrat' mein bhi maza na raha