tujh se bichhDe hain to ab kis se milati hai hamein
zindagi dekhiye kya rang dikhati hai hamein
markaz-e-dida-o-dil tera tasawwur tha kabhi
aaj is baat pe kitni hansi aati hai hamein
phir kahin KHwab o haqiqat ka tasadum hoga
phir koi manzil-e-be-nam bulati hai hamein
dil mein wo dard na aankhon mein wo tughyani hai
jaane kis samt ye duniya liye jati hai hamein
gardish-e-waqt ka kitna baDa ehsan hai ki aaj
ye zamin chand se behtar nazar aati hai hamein
Ghazal
Tujhse bichhDe hain to ab kis se milati hai hamein
Shahryar