tujh se bichhaD ke hum bhi muqaddar ke ho gae
phir jo bhi dar mila hai usi dar ke ho gae
phir yun hua ki ghair ko dil se laga liya
andar wo nafraten thin ki bahar ke ho gae
kya log the ki jaan se baDh kar aziz the
ab dil se mahw nam bhi aksar ke ho gae
ai yaad yar tujh se karen kya shikayaten
ai dard-e-hijr hum bhi to patthar ke ho gae
samjha rahe the mujh ko sabhi nasehan-e-shahr
phir rafta rafta KHud usi kafar ke ho gae
ab ke na intizar karen chaaragar ki hum
ab ke gae to ku-e-sitamgar ke ho gae
rote ho ek jazira-e-jaan ko 'faraaz' tum
dekho to kitne shahr samundar ke ho gae
Ghazal
Tujhse bichhaD ke hum bhi muqaddar ke ho gae
Ahmad Faraz