tujh se bichhaD ke dard tera ham-safar raha
main rah-e-arzu mein akela kabhi na tha
ye aur baat raat jawan thi jawan rahi
saqi udasiyon ke mujhe jam de gaya
bazar-e-waqt se kahan jins-e-wafa gai
tanha hai mah-e-misr ka jalta hua diya
tarik thi ye raat magar yaad ki kiran
aai to nur-e-husn ka darwaza phir khula
hail hue dilon pe ye anjaane fasle
pahle hamare darmiyan kui fasla na tha
hathon mein raat aas ki shamen liye hue
tarikiyon mein tujh ko pukara hai barha
ai jannat-e-KHayal nigah-e-fusun-shiar
'qaisar' ko apne gesuon mein aaj phir chhupa

Ghazal
Tujhse bichhaD ke dard tera ham-safar raha
Qaisar Qalandar