اردو हिंदी
Tujhse bichhaD kar kya hun main ab bahar aa kar dekh | Shaahi Shayari
tujhse bichhaD kar kya hun main ab bahar aa kar dekh

Ghazal

Tujhse bichhaD kar kya hun main ab bahar aa kar dekh

Muneer Niyazi

;

tujh se bichhaD kar kya hun main ab bahar aa kar dekh
himmat hai to meri haalat aankh mila kar dekh

sham hai gahri tez hawa hai sar pe khaDi hai raat
rasta gae musafir ka ab diya jala kar dekh

darwaze ke pas aa aa kar wapas muDti chap
kaun hai is sunsan gali mein pas bula kar dekh

shayad koi dekhne wala ho jae hairan
kamre ki diwaron par koi naqsh bana kar dekh

tu bhi 'munir' ab bhare jahan mein mil kar rahna sikh
bahar se to dekh liya ab andar ja kar dekh