tujh se bhi hasin hai tere afkar ka rishta
tu mang le mujh se mere ashaar ka rishta
wo dhup mein nikhra hua billor sa paikar
chandi sa chamakta hua didar ka rishta
tanhai mein pahunche to sabhi the tahi-daman
bazar mein chhoD aae the bazar ka rishta
ek aur girah sans ki Dori mein paDegi
yaad aaya mujhe bhula hua pyar ka rishta
afkar ke jangal mein khaDa soch raha hun
kis tarah maani se ho izhaar ka rishta
kyun yaad dilate ho 'rashid' un ko ye bandhan
ab kaun nibhata hai ye bekar ka rishta
Ghazal
Tujhse bhi hasin hai tere afkar ka rishta
Rasheed Qaisrani

