tujh se baDh kar koi pyara bhi nahin ho sakta
par tera sath gawara bhi nahin ho sakta
rasta bhi ghalat ho sakta hai manzil bhi ghalat
har sitara to sitara bhi nahin ho sakta
panw rakhte hi phisal sakta hai miTTi ho ki ret
har kinara to kinara bhi nahin ho sakta
us tak aawaz pahunchni bhi baDi mushkil hai
aur na dekhe to ishaara bhi nahin ho sakta
tere bandon ki maishat ka ajab haal hua
aish kaisa ki guzara bhi nahin ho sakta
apna dushman hi dikhai nahin deta ho jise
aisa lashkar to saf-ara bhi nahin ho sakta
pahle hi lazzat-e-inkar se waqif nahin jo
us se inkar dobara bhi nahin ho sakta
husn aisa ki chaka-chaund hui hain aankhen
hairat aisi ki nazzara bhi nahin ho sakta
chaliye wo shaKHs hamara to kabhi tha hi nahin
dukh to ye hai ki tumhaara bhi nahin ho sakta
duniya achchhi bhi nahin lagti hum aison ko 'salim'
aur duniya se kinara bhi nahin ho sakta
Ghazal
Tujhse baDh kar koi pyara bhi nahin ho sakta
Saleem Kausar