tujh se ab dard ka rishta bhi nahin chahiye hai 
ja mujhe teri tamanna bhi nahin chahiye hai 
dekh kuchh bhi na sakun main kisi sae ke siwa 
raushni itni ziyaada bhi nahin chahiye hai 
ek nazar tishna-e-nazzara hi rakh leni hai 
ek tamashe mein tamasha bhi nahin chahiye hai 
KHair-o-shar donon mujhe zaKHm diye jate hain 
ye bura kya mujhe achchha bhi nahin chahiye hai 
ab zara chahiye tanhai mein yaksui mujhe 
ab koi chahne wala bhi nahin chahiye hai 
main ne halkan kiya jis ki talab mein KHud ko 
sach to ye hai ki wo duniya bhi nahin chahiye hai 
rok mat mujh ko farastada-e-tughyani hun 
us safar mein hun ki rasta bhi nahin chahiye hai 
jina mushkil to bahut hai teri is duniya mein 
lekin is KHwab ko marna bhi nahin chahiye hai
        Ghazal
Tujhse ab dard ka rishta bhi nahin chahiye hai
Maqsood Wafa

