tujh mein paDa hua hun harakat nahin hai mujh mein
haalat na puchhiyo tu haalat nahin hai mujh mein
ab to nazar mein aa ja banhon ke ghar mein aa ja
ai jaan teri koi surat nahin hai mujh mein
ai rang rang mein aa aaghosh-e-tang mein aa
baaten hi rang ki hain rangat nahin hai mujh mein
apne mein hi kisi ki ho ru-ba-rui mujh ko
hun KHud se ru-ba-ru hun himmat nahin hai mujh mein
ab to simaT ke aa ja aur ruh mein sama ja
waise kisi ki pyare wusat nahin hai mujh mein
shishe ke is taraf se main sab ko tak raha hun
marne ki bhi kisi ko fursat nahin hai mujh mein
tum mujh ko apne ram mein le jao sath apne
apne se ai ghazalo wahshat nahin hai mujh mein
Ghazal
Tujh mein paDa hua hun harakat nahin hai mujh mein
Jaun Eliya