tujh mein kab husn-e-bahaar-e-gul ki ranai na thi
kab tere jalwon ki ek duniya tamashai na thi
zindagi bhar aarzu ka KHun hi hota raha
lab pe lekin ek din bhi aah tak aai na thi
ishq hai ek aatish-e-dil-soz mein jalne ka nam
hum ko to roz-e-azal ye baat samjhai na thi
hum rahe hain manzilon hi manzilon mein umr bhar
jaise qismat mein kisi pahlu shakebai na thi
ek chaman kya do jahan ki aafaton se dur tha
ghuncha-e-nauras ke lab tak jab hansi aai na thi
kya kahun 'jauhar' jo mere jaan-o-dil par ban gai
maut ka paigham tha ek sham-e-tanhai na thi
Ghazal
Tujh mein kab husn-e-bahaar-e-gul ki ranai na thi
Jauhar Zahiri