اردو हिंदी
Tujh mein jis dam dhiyan jata hai | Shaahi Shayari
tujh mein jis dam dhiyan jata hai

Ghazal

Tujh mein jis dam dhiyan jata hai

Mirza Azfari

;

tujh mein jis dam dhiyan jata hai
hosh aaya us aan jata hai

dil mera gum hua sanam allah
tujh pe mera guman jaana hai

tere mizhgan ki kya karun tarif
tir ye be-kaman jata hai

hae zalim hun nim-jaan Tuk dekh
hath se ek jawan jata hai

saj mere shoKH ki zara dekho
jaise banka paThan jata hai