tujh ko kis munh se bewafa kahiye
koi puchhe sabab to kya kahiye
hum se kuchh waqt par na ban aai
le gae dil wo muft kya kahiye
mujh ko samjha ke galiyan dije
fiqra fiqra juda juda kahiye
na main aashiq na aap ko kya hun
ghair se apna muddaa kahiye
jaan deta hun kis KHushi se main
aaj to aap marhaba kahiye
aaina main dikha ke kahta hun
aap hi hain ki dusra kahiye
ab na kije mue pe sau durre
ab na aashiq ko ba-wafa kahiye
Ghazal
Tujhko kis munh se bewafa kahiye
Ashique Akbarabadi

