tujh ko kho dene ka ehsas hua tere baad
DhunDhta phirta hun ab tera pata tere baad
phir kisi aur se ki arz-e-tamanna na kabhi
mujh mein arman na phir koi jaga tere baad
bich raste mein hamein chhoD ke jaane wale
e'timad hum ne kisi par na kiya tere baad
chalte phirte hue patthar hain yahan ke insan
kaun samjhega bhala dard mera tere baad
gardish-e-waqt jise toD nahin pai thi
dekh wo shaKHs bhi ab TuT gaya tere baad
chahne wale mere aur bahut the lekin
main kisi aur ka ho hi na saka tere baad
phailta jata hai har samt andhera 'sagar'
zindagi jaise ho ek bujhta diya tere baad
Ghazal
Tujhko kho dene ka ehsas hua tere baad
Imran Saghar