tujh ko KHiffat se bacha lun pani
tishnagi apni chhupa lun pani
KHak uDti hai har ek chehre par
kis ki aankhon se nikalun pani
dhup dariya pe nazar rakhti hai
tujh ko kuze mein chhupa lun pani
uDte phirte hain saron par baadal
KHwab aankhon mein basa lun pani
roz bachchon ko sula dun yunhi
roz patthar ko ubaalun pani
aag se khelta hai kal mujh ko
aa tujhe apna bana lun pani
KHarzaron pe chalun nange panw
KHushk dharti ki dua lun pani
sabr ki had bhi to kuchh hoti hai
kitna palkon pe sambhaalun pani
bhul jaun na kahin tairaki
kyun na kashti hi jala lun pani
apni wahshat ka ek izhaar sahi
kar ke sard aag jala lun pani
zaKHm ho phul ho ya angara
ho jo raushan to bula lun pani
shart hai teri rifaqat warna
waqt ki aag mein Dalun pani
aag matlub-e-lab-e-tishna hai
main tujhe kaise bula lun pani
chashm-e-ahbab jo ho KHushk 'ata'
KHun ko apne bana lun pani
Ghazal
Tujhko KHiffat se bacha lun pani
Ata Abidi