tujh ko is tarah kahan chhoD ke jaana tha hamein
wo to ek ahd tha aur ahd nibhana tha hamein
tum to us par khaDe the tumhein malum kahan
kaise dariya ke bhanwar kaT ke aana tha hamein
un ko le aaya tha manzil pe zamana lekin
hum chale hi the ki dar-pesh zamana tha hamein
wo jo ek bar uTha lae the hum ujlat mein
phir wahi bar har ek bar uThana tha hamein
wo to aisa hai ki mohlat na mili thi warna
apni barbaadi pe KHud jashn manana tha hamein
Ghazal
Tujhko is tarah kahan chhoD ke jaana tha hamein
Tariq Naeem