tujh ko hi sochta rahun fursat nahin rahi
aur phir wo pahle wali tabiat nahin rahi
tujh se bichhaD ke zinda raha to pata chala
ab is qadar bhi teri zarurat nahin rahi
main sard ho gaya hun ki ab tere lams mein
guzri ruton ki aatishin hiddat nahin rahi
aaKHir ko tere gham bhi mujhe ras aa gae
sham-e-firaq mein bhi wo shiddat nahin rahi
mujh ko pata chala to main hairan rah gaya
hum sath hain magar wo rifaqat nahin rahi
wo hichkiyon se rota raha aur main chup raha
shayad ye sach hai mujh ko mohabbat nahin rahi
Ghazal
Tujhko hi sochta rahun fursat nahin rahi
Syed Anwar Ahmad