tujh ko dekha hai jo dariya ne idhar aate hue
kuchh bhanwar Dub gae pani mein chakraate hue
hum ne to raat ko danton se pakaD kar rakkha
chhina-jhapTi mein ufuq khulta gaya jate hue
main na hunga to KHizan kaise kaTegi teri
shoKH patte ne kaha shaKH se murjhate hue
hasraten apni bilaktin na yatimon ki tarah
hum ko aawaz hi de lete zara jate hue
si liye honT wo pakiza nigahen sun kar
maili ho jati hai aawaz bhi dohraate hue
Ghazal
Tujhko dekha hai jo dariya ne idhar aate hue
Gulzar