tujh ko aghraaz-e-jahan se mawara samjha tha main
paikar-e-iKHlas taswir-e-wafa samjha tha main
jab liya nam-e-KHuda kashti kinare lag gai
jaane kis kis bul-hawas ko naKHuda samjha tha main
tha kisi zalim ka apna muddaa-e-zindagi
jis ko apni zindagi ka muddaa samjha tha main
tha kisi gum-karda-e-manzil ka naqsh-e-be-sabaat
jis ko mir-e-karwan ka naqsh-e-pa samjha tha mein
intiha-e-yas mein ab kya kahun? kis se kahun?
ibtida-e-shauq mein kis kis ko kya samjha tha main
aa gaya jab aa gaya un ko KHayal-e-iltifat
apne shauq-e-dil ko 'bazmi' na-rasa samjha tha main
Ghazal
Tujhko aghraaz-e-jahan se mawara samjha tha main
Abdul Rahman Bazmi