tujh jaisa ek aanchal chahun apne jaisa daman DhunDun
maile maile shoala dekhun pani aangan aangan DhunDun
ye komal dharti kya mere bhaari dukh ka bojh sahegi
udhar idhar lakhon duniyaen kyun na koi aur aangan DhunDun
aisa bhi kya pyar ki jis se kul duniya pili paD jae
kesar aanchal aanchal dekhun haldi daman daman DhunDun
isi aam ki kokh se ek din mera bhola-pan upja tha
isi aam ki jaDen khod kar ek din apna bachpan DhunDun
tum se kya tum bhes badal kar baiTh raho hansmukh chehron mein
main aankhon mein aansu bhar kar sahra sahra ban ban DhunDun
yaro mere pagal-pan ka sach-much koi ilaj nahin hai
nim nim par koyal chahun kikar kikar jaman DhunDun
man liya dil bas mein nahin hai phir bhi jina to hoga hi
ya ab apna tan bisra dun ya phir aur koi tan DhunDun
Ghazal
Tujh jaisa ek aanchal chahun apne jaisa daman DhunDun
Bimal Krishn Ashk