tujh but ka hun main barahman kartar ki saugand hai
japta hun mala yar ki zunnar ki saugand hai
banka husn sun kar tera KHuban ne khaya pech-o-tab
ai nuk-palak tujh chehra-e-bal-dar ki saugand hai
KHuban ki KHubi hai KHizan teri bahaar aange sada
aashiq kun ai gulfam tujh ruKHsar ki saugand hai
rakhta hun tujh sun chashm ye dil ai mah-e-nur-e-nazar
aa ke KHabar ek roz mujh bimar ki saugand hai
dariya-e-wahdat mein tere ai gauhar-e-yakta-e-husn
paya nahin sani tera sansar ki saugand hai
bin haar aae gul-ruKHan tere gale paDne katin
jita to bare husn ke mizmar ki saugand hai
sharmindagi sun ja chhupaya quwwat apni kan mein
sun kar dur-afsani teri guftar ki saugand hai
shamshir-e-abru bandh kar aaya sipahi nain ka
do Tok dil hain aashiqan talwar ki saugand hai
sehn-e-chaman mein gul-badan tan-zeb kin tujh jama kun
nain sukh hai tera dekhna didar ki saugand hai
tujh hijr mein dil ki fughan sun aankh nain lagti kabhi
kamKHwab hai maKHmal mera shab-e-tar ki saugand hai
ushshaq kun ruKHsat kiya de pan KHirad ka yar ne
rota hai nis din 'mubtala' ghar-bar ki saugand hai

Ghazal
Tujh but ka hun main barahman kartar ki saugand hai
Obaidullah Khan Mubtala