tujh bin to kabhi gul ke tain bu na karun main
mar jaun pa gulshan ki taraf ru na karun main
gar jad ko sumbul ki saba bechne lawe
KHatir se teri qimat-e-yak-mu na karun main
palle mein tere husn ke go ho wo giran-tar
yusuf ko tera sang-e-taraazu na karun main
yun dil ko giraftar rakhun said-e-alam mein
par aur ka said-e-KHam-e-gesu na karun main
gar hur-o-pari dil ko lubhawe mere aa kar
wallah ki us par kabhi jadu na karun main
gar marsiya-KHwani pe dil aawe kabhi mera
tu howe to daud ko bazu na karun main
hun bas-ki hawa-dar teri aatish-e-gham ka
phunk jae jo sina to kabhu hu na karun main
yun dekhun to dekhun kisi KHush-waza ko lekin
KHwahish ki nazar bar-ruKH-e-neku na karun main
bulbul ki tarah gul pe na hun zamzama-parwaz
qumri ki tarah sarw pe ku ku na karun main
jab raat ho zanu pe rakho apne sar apna
par takiya-e-sar ghair ka zanu na karun main
mehrab ke kabe ka namazi hun to wan bhi
juz sajda-e-taq-e-KHam-e-abru na karun main
jab tak na khulen mujh se tere husn ke uqde
hargiz hawas-e-nafa-e-ahu na karun main
ham-KHwaba agar howe meri hur-e-bahishti
idhar se udhar ko kabhi pahlu na karun main
koi aur to kab mujh ko lubha sakta hai lekin
Darta hun tasawwur se tere KHu na karun main
ai 'mushafi' hai ahd ki jab tak na wo gul ho
gul-gasht-e-gul o sair-e-lab-e-ju na karun main
Ghazal
Tujh bin to kabhi gul ke tain bu na karun main
Mushafi Ghulam Hamdani