اردو हिंदी
Tujh bin rah-e-hayat mein lutf-e-safar kahan | Shaahi Shayari
tujh bin rah-e-hayat mein lutf-e-safar kahan

Ghazal

Tujh bin rah-e-hayat mein lutf-e-safar kahan

Rohit Soni u0027Tabishu0027

;

tujh bin rah-e-hayat mein lutf-e-safar kahan
taskin-e-qalb-o-ruh sukun-e-jigar kahan

tufan-e-barq-o-baad mein ye jaen par kahan
ujDe hue chaman ke parindon ka ghar kahan

us ki nigah-e-naz ne be-KHud bana diya
KHud mujh ko apne-ap ki ab hai KHabar kahan

jaan se aziz-tar hai unhen gulsitan ki KHak
jaen chaman ko ahl-e-chaman chhoD kar kahan

bas KHubi-e-nasib ne tujh se mila diya
warna kahan pe tu hai teri rahguzar kahan