tujh bin ghar kitna suna tha
diwaron se Dar lagta tha
bhuli nahin wo sham-e-judai
main us roz bahut roya tha
tujh ko jaane ki jaldi thi
aur main tujh ko rok raha tha
meri aankhen bhi roti thin
sham ka tara bhi rota tha
galiyan sham se bujhi bujhi thin
chand bhi jaldi Dub gaya tha
sannaTe mein jaise koi
dur se aawazen deta tha
yaadon ki siDhi se 'nasir'
raat ek saya sa utra tha
Ghazal
Tujh bin ghar kitna suna tha
Nasir Kazmi