tujh bin bahut hi kaTti hai auqat be-tarah
jun-tun ke din to guzre hai par raat be-tarah
hoti hai ek tarah se har kaam ki jaza
aamal-e-ishq ki hai mukafat be-tarah
bulbul kar us chaman mein samajh kar Tuk aashiyan
sayyaad lag raha hai teri ghat be-tarah
puchha payam-bar se jo main yar ka jawab
kahne laga KHamosh ki hai baat be-tarah
milne na dega hum se tujhe ek-dam raqib
pichhe laga phire hai wo bad-zat be-tarah
koi hi mor hai to rahe is mein shaiKH-ji
daDhi paDi hai shane ke ab hath be-tarah
'sauda' na mil kar apni tu ab zindagi pe rahm
hai us jawan ki tarz-e-mulaqat be-tarah
Ghazal
Tujh bin bahut hi kaTti hai auqat be-tarah
Sauda Mohammad Rafi