tujh badan par jo lal sari hai 
aql us ne meri bisari hai 
baal dekhe hain jab sun main tere 
zulf si dil kun be-qarari hai 
qad alif sa hua mera jiyun dal 
ishq ka bojh saKHt bhaari hai 
sab ke sine ko chhed Dala hai 
palk teri magar kaTari hai 
oDhni udi par kanari zard 
gird shab ke suraj ki dhaari hai 
qahr o lutf o tabassum-o-KHanda 
teri har ek ada piyari hai 
tirchhi nazran sun dekhna hans hans 
mor se chaal tujh niyari hai 
zinda 'faez' ka dil hua tujh sun 
husn tera bi faiz-e-bai hai
        Ghazal
Tujh badan par jo lal sari hai
Faez Dehlvi

