اردو हिंदी
Tohfa-e-gham bhi mila dard ki saughat ke baad | Shaahi Shayari
tohfa-e-gham bhi mila dard ki saughat ke baad

Ghazal

Tohfa-e-gham bhi mila dard ki saughat ke baad

Fazil Ansari

;

tohfa-e-gham bhi mila dard ki saughat ke baad
phir bhi dil KHush na hua itni inayat ke baad

umr-bhar DhunDte phirte hi rahe apna wajud
KHud se hum mil na sake un se mulaqat ke baad

main hun jab tak to samajh lijiye sab kuchh hai yahan
kuchh na rah jaega duniya mein meri zat ke baad

kitni tarikiyan guzrin to ujala dekha
husn aaya hai nazar kitne hijabaat ke baad

zindagi teri tawazoa bhi main karta lekin
na bacha kuchh bhi lahu gham ki mudaraat ke baad

hath aae hue lamhat na chhoDo warna
kuchh na hath aaega guzre hue lamhat ke baad

aaega daur-e-masarrat bhi yaqinan 'fazil'
kya nahin hoti hai duniya mein sahar raat ke baad