اردو हिंदी
ToD lenge har ek shai se rishta toD dene ki naubat to aae | Shaahi Shayari
toD lenge har ek shai se rishta toD dene ki naubat to aae

Ghazal

ToD lenge har ek shai se rishta toD dene ki naubat to aae

Sahir Ludhianvi

;

toD lenge har ek shai se rishta toD dene ki naubat to aae
hum qayamat ke KHud muntazir hain par kisi din qayamat to aae

hum bhi suqraat hain ahd-e-nau ke tishna-lab hi na mar jaen yaro
zahr ho ya mai-e-atishin ho koi jam-e-shahadat to aae

ek tahzib hai dosti ki ek meyar hai dushmani ka
doston ne murawwat na sikhi dushmanon ko adawat to aae

rind raste mein aankhen bichhaen jo kahe bin sune man jaen
naseh-e-nek-tinat kisi shab su-e-ku-e-malamat to aae

ilm o tahzib tariKH o mantiq log sochenge in masalon par
zindagi ke mashaqqat-kade mein koi ahd-e-faraghat to aae

kanp uTThen qasr-e-shahi ke gumbad thartharae zamin mabadon ki
kucha-gardon ki wahshat to jage gham-zadon ko baghawat to aae