toD kar tar-e-nigah ka silsila jata raha
KHak Dal aankhon mein meri qafila jata raha
kaun se din hath mein aaya mere daman-e-yar
kab zamin-o-asman ka fasla jata raha
KHar-e-sahra par kisi ne tohmat-e-duzdi na ki
panw ka majnun ke kya kya aabla jata raha
doston se is qadar sadme uThae jaan par
dil se dushman ki adawat ka gila jata raha
jab uThaya panw 'atish' misl-e-awaz-e-jaras
koson pichhe chhoD kar main qafila jata raha
Ghazal
ToD kar tar-e-nigah ka silsila jata raha
Haidar Ali Aatish