to wahan ja ke bachega dil-e-hoshyar ghalat
un ki nazron ka KHata hota hai kab war ghalat
ye to huron ka talabgar hai din-dar kahan
bandh gai shaiKH ke sar bhule se dastar ghalat
do hi fiqron mein wo aghyar ke ban baiThe hain
nama-bar un ko batata hai jo hoshyar ghalat
Thokaren kha ke hi insan bana karta hai
zindagi ishq mein ho jaegi yun KHwar ghalat
us ke didar ki ummid dobara kaisi
kahin hoti hai tajalli ko bhi takrar ghalat
wo mujhe puchhte paigham-rasa jhuT na bol
ye bayan tera sarasar hai mere yar ghalat
ishq ka josh sahi hausla ye hum mein kahan
un se kuchh arz karenge sar-e-bazar ghalat
'shad' hai nam wo dil shad raha karta hai
wo bhala roega ja kar pas-e-diwar ghalat
Ghazal
To wahan ja ke bachega dil-e-hoshyar ghalat
Murli Dhar Shad