to tai hua na ki jab bhi likhna ruton ke sare azab likhna
ujaD mausam main tapte sahra ko aab likhna habab likhna
qarar-e-jaan hai tumhaara wada ki ghar pahunch kar main bhej dungi
main muntazir hon tumhaare KHat ka shikayaton ka jawab likhna
mujhe yaqin hai nasib mera na sath dega ki tajraba hai
sukun ko iztirab kahna haqiqaton ko sarab likhna
ye teri ghazlen bayan nahin hain visal-e-shab ki nawazishon ka
jo ho sake masnawi mein sara wo aks-e-kaif-e-shabab likhna
aziyyaton ke safar mein main ne bharam rakha phir bhi hauslon ka
munafiqat ke jahan mein mujh ko sadaqaton ka nisab likhna
ye daur ahl-e-qalam pe bhaari ki maslahat ki sabil jari
gunah ko bhi sawab kahna babul ko bhi gulab likhna
hawa ke mathe pa darj tahrir mausamon ki tamazaton se
jo miT gai hai to kya hua hai nae sire se ye bab likhna
gulab-rut mein ye zardiyon ke nuqush chehre pe dekh lena
hamare bare main kuchh na kahna pa ibraton ki kitab likhna
hari bhari khetiyan kahan hain mere muqaddar ke zaiche hain
shahid-e-ishq-e-wafa ka 'tahir' hatheliyon par hisab likhna
Ghazal
To tai hua na ki jab bhi likhna ruton ke sare azab likhna
Tahir Tonsvi