to sharafaton ka maqam hai to sadaqaton ka dawam hai
jahan farq-e-shah-o-gada nahin tere din ka wo nizam hai
jinhen tere nam ki chah hai ye zamin un ki gawah hai
wahin karbala ka wo dasht hai wahin qasr-e-kufa-o-sham hai
kahin kankaron ko zaban de kahin sach ko harf-e-bayan de
dar-e-had had-e-inam hai sar-e-qad qad-e-ilham hai
tera rup ruh ke ru-ba-ru teri prit paran mein mu-ba-mu
tu kamal-e-husn-e-kalam hai tu misal mah-e-tamam hai
tu ne KHauf-e-marg miTa diya tu ne haq ko jina sikha diya
tu hasan husain ka peshwa tu ali-e-wali ka imam hai
tera buad buad-e-hayat hai tera qurb qurb-e-najat hai
tu ruton ka rang-e-rawan-dawan to sumon ka sang-e-mudam hai
tale tegh ke wo ibaadaten teri shan ki wo shahadaten
wo hikayaten wo riwayaten tere sare ghar pe salam hai
to shuur-e-zist ka tarjuman kabhi juzw-e-jaan kabhi la-makan
yahan arsh-e-farq pe jawedan tera nur hai tera nam hai
sabhi harf tere harim hain sabhi aks tere azim hain
sabhi saj-suKHan tere waste sabhi baat tujh pe tamam hai
Ghazal
To sharafaton ka maqam hai to sadaqaton ka dawam hai
Nasir Shahzad