اردو हिंदी
To pahle mera hi haal-e-tabah likh lije | Shaahi Shayari
to pahle mera hi haal-e-tabah likh lije

Ghazal

To pahle mera hi haal-e-tabah likh lije

Bekal Utsahi

;

to pahle mera hi haal-e-tabah likh lije
phir apne aap ko aalam panah likh lije

kitab-e-sahra mein zikr aae jab samundar ka
meri hayat kisi ki nigah likh lije

diyon ke qatl pe suraj ki har kiran chup hai
is ehtiyat ko jashn-e-siyah likh lije

labon pe amn ke naghme dilon mein jang ki aag
shikast-e-azm ba-nam-e-sipah likh lije

wo mere qatl ka mulzim hai log kahte hain
wo chhuT sake to mujhe bhi gawah likh lije

main apne ghar ki tabahi sambhaal lunga magar
zamane bhar ka mujhe sarbarah likh lije

KHataen itni hain 'bekal' mujhe nahin malum
yahi saza hai mera har gunah likh lije