اردو हिंदी
To mujhe ek jhalak bhi nahin dikhlani kya | Shaahi Shayari
to mujhe ek jhalak bhi nahin dikhlani kya

Ghazal

To mujhe ek jhalak bhi nahin dikhlani kya

Faraz Mahmood Fariz

;

to mujhe ek jhalak bhi nahin dikhlani kya
sirf musa pe inayat thi ye farmani kya

main kisi shaKHs ke marne pe bhi ghamgin nahin
KHak agar KHak mein milti hai to hairani kya

KHat mein likhte ho bahut dukh hai tumhein hijrat ka
yar jab ja hi chuke ho to pashemani kya

meri aankhon mein zara ghaur se dekh aur bata
in se baDh kar hai bhala dasht ki virani kya

na gham-e-yar hai mujh ko na gham-e-dauran hai
aaKHir ab zist mein bhi is qadar aasani kya

meri miTTi mein alag shai hai koi kuza-gar
waqt-e-tajsim meri KHak nahin chhani kya