to mil bhi jae to phir bhi tujhe talash karun
har ek daur mein taKHliq-e-irtiash karun
main fash ho hi chuka hun to kya zaruri hai?
ki apne sath tujhe bhi jahan mein fash karun
suragh-e-zist mile reza reza insan ko
butan-e-asr ko kuchh aise pash pash karun
zamin ne qarz diya mujh ko rizq ki surat
marun to kyun na supurd us ke apni lash karun
mujhe najat mile tira-kariyon se kash
main nur ugaun yahan raushni maash karun
meri baqa ka taqaza hai jab bhi rut badle
main jama az-sar-e-nau apni qash qash karun
jadid daur mein rahte hue bhi ai 'ruhi'
hai aarzu ki na tark apni bud-o-bash karun
Ghazal
To mil bhi jae to phir bhi tujhe talash karun
Roohi Kanjahi

