to kya taDap na thi ab ke mere pukare mein
wagarna wo to chala aata tha ishaare mein
wo baat us ko batana bahut zaruri thi
wo baat kis liye kahta main istiare mein
mudam hijr-kade mein wo yaad raushan hai
kahan hai ai dil-e-nakaam tu KHasare mein
mere alawa sabhi log ab ye mante hain
ghalat nahin thi meri rae us ke bare mein
faqir hai pa karamat kisi ne dekhi nahin
guzar-basar hi kiya karta hai guzare mein
Ghazal
To kya taDap na thi ab ke mere pukare mein
Shahram Sarmadi