اردو हिंदी
To kya ek hamare liye hi mohabbat naya tajraba hai | Shaahi Shayari
to kya ek hamare liye hi mohabbat naya tajraba hai

Ghazal

To kya ek hamare liye hi mohabbat naya tajraba hai

Jawad Sheikh

;

to kya ek hamare liye hi mohabbat naya tajraba hai
jise pochhiye wo kahega ki ji han baDa tajraba hai

samajh mein na aae to meri KHamoshi ko dil par na lena
ki ye aql walon ki danist se mawara tajraba hai

kaThin to bahut hai magar dil ke rishton ko aazad chhoDo
tawaqqoa na bandho ki ye ek aziyyat bhara tajraba hai

magar hum musir the ki hum ne kitaben bahut paDh rakhi hain
baDon ne kaha bhi ki dekho miyan tajraba tajraba hai

wo apni jagah KHush-guman thi ki daim hai pahli mohabbat
main apne tain mutmain tha ki ye dusra tajraba hai

kisi aur ke tajarbe se koi faeda kya uThaen
mohabbat mein har tajraba hi alag tarah ka tajraba hai